Hindi Love Quotes

Paromita Pramanick
Paromita Pramanick
प्यार से ज़िन्दगी ऐसे जियो,
कि यह ज़िन्दगी भी तुमसे प्यार कर जाएँ;
प्यार कभी न तुमसे रूठे,
और यह ज़िन्दगी भी तुम्हारे नाम कर जाएँ ||
Pyar se zindagi aise jiyo,
ki yeh zindagi tumse pyar kar jaye;
Pyar kabhi na tumse ruthe,
aur yeh zindagi bhi tumhare naam kar jaye ||💘


Paromita Pramanick
Chahat hai ki nahi
Khud apne dil se puchho,
Mujhse nahi;
Dil agar kehde ki chahat nahi
Toh mudhkar kabhi dekhna
Mujhko nahi.


Paromita Pramanick
Socha na kabhi tum aaoge
meri zindagi mein itna pyar lekar;
Socha na kabhi hum pyar karenge
Tumpe itna aitbaar hokar.


Paromita Pramanick
Yeh kis raaste par hum chal diye
Jahaan zillat ke siva kuch na mila;
Tumse ishq kyon humne kar liya
Jahaan bewafaai ke siva kuch na mila.


Paromita Pramanick
Pal pal tumse pyar kiya
Har pal tumhari raah taku;
Dil par tumko basa liya
Ab kaise tum bin jee saku.


Paromita Pramanick
Mohabbat ki raho par hum chal pade the
Fikr na thi humein kya sahi kya galat;
Ab mohabbat hi humein chhod chale toh,
Jaan na paaye kahan sahi the aur kahan galat??


Paromita Pramanick
Jab khudko tumne akela paya,
Tab mujhko tumne saath paya;
Ab kyon tumne mera saath chhod diya
Jab zamaane ka saath tumhe mil gaya.


Paromita Pramanick
Koi khwaish toh na ki thi tumse milne ki,
Kismat ne humko milaya;
Koi tamanna na ki thi tumse mohabbat ki,
Pyar se daaman bhar diya.


Jab bhi phone ring hua,
Dil ne socha usne call kiya;
Jab bhi door bell bajaa,
Dil ne socha ki woh aaya;
Itna kya tadpana pyar mein,
jaldee se aate ho ya bulaaye
koi thaanedaar ko.


Paromita Pramanick
Rakhkar dilpar haath apne
Dilse tujhe pukara hai
Khuda ki kasam hai ae yaara
Dil mein bas tujhi ko basaya hai


Paromita Pramanick
Tere ishq mein yu badnaam ho gaye
Hum jeete jee tabaah ho gaye
Pi gaye hum zahar is qadar
Hum marker hi qurbaan ho gaye.


Yaad sataaye thari raat raat bhar
Dil nu kuch na bhave
Samjhave kaun thare
Dil mharo chayn na pave.


Paromita Pramanick
Tum naa aaye toh kya hua
Bahare mujhse milne aa gayi
Qayamat aane se pehle
Fiza aakar mujhe thaam gayi.


Paromita Pramanick
Laakhon hai ishqbaaz
Jo ishq ka daawa karte dikhaye,
kami hai toh is baazi mein
Koi saccha ishq nibhakar dikhaye.


Paromita Pramanick
Aati nahi neend humein
Khayalon mein tum jo basein ho
Jaati nahi dard is dil se
Dhadkan mein tum jo samaaye ho.


Paromita Pramanick
Pyar mein koi haarta hai,
Toh koi jeetta hai,
Koi bikhar jaata hai,
Toh koi sawar jaata hai.


Paromita Pramanick
Tut gayi har umeed tumse milne ki
Tut gayi har khwaish tumhare deedar ki;
Aana zaroor mere janaze par, kyuki
Tuti nahi mera rishta tumse mohabbat ki.


Paromita Pramanick
Milna tha.. taqdeer ne humein milaya
Bichadna tha..kismat ne humein juda kiya;
Kudrat bhi dilon ke saath khelta hai aise
Ki milna bichadna koi khel ho jaise.


Paromita Pramanick
Leta hai karvat raat bhar
uski yaadon mein;
Tadapta hai din bhar
uski behrukhiyon se.


Chup chupkar har roz tumhe dekha karte hai
Hum in nazro se tumhara deedaar karte hai;
Jee bharkar tumhe dekhne ke baad
Hum apne aankhon mein tumhe basa lete hai.


Paromita Pramanick
Wafaa na aaya humko, bewafaai bhi na aayi
Pyar na mila humko, nafrat bhi na aayi
Phir kyu pyar mein itna dard mila humko
Ki sirf nafrat hi sabki nazar mein aayi.


Paromita Pramanick
Kabhi kisise pyar karo toh us behadgi se karo
Ki jab woh tumse nafrat aazmaaye
Toh tum uska pyar phir ubhar sako.


Paromita Pramanick
Kahi raaste mein agar mil jaao,
Toh humse aankhen na churana;
Bas ek pal ke liye hi sahi
Pyar se ek nazar humein dekh lena.


Koi jawaab na aaya mere intezaar ka
Kya sila diya tumne mere aitbaar ka.


Paromita Pramanick
Tanhaiyo mein rehna sikh gaye hum
Tumse dur rehkar bhi jee gaye hum.


Paromita Pramanick
 Woh itna maghroor hai ki
Pyar ko woh samajh na paye,
Hum itne majboor hai ki
Pyar ko hum samjha na paye!!


Paromita Pramanick
Sauda kiya tha tumne….pyar nahi
Jo agar pyar kiya hota tumne
Toh aaj saude ki baat karte nahi.


Paromita Pramanick
Jab pyar hota hai,
Tab koi anjaan bhi apna lagne lagta hai;
Aur jab pyar mit jata hai,
Tab koi apna kareebi bhi begana ban jaata hai.

Paromita Pramanick ©2017. All Rights Reserved.

No comments:

Powered by Blogger.