Hindi Shayari

Paromita Pramanick

Paromita Pramanick
"देखो तो यह नज़ारा कुदरत का
निगाहों से हटती नहीं।
सामने है मेरी यह जन्नत,
क्यों न वक्त थम जाए यही।।"
Dekho toh yeh nazara kudrat ka
Nigaho se hatthi nahi.
Saamne hain meri yeh Jannat,
Kyon na waqt tham jaaye yahi.


Paromita Pramanick
 Lage the tum apna sa
Par apna hum bana na sakey,
Kismat ne humein milvaya
Par saath hum reh na sakey.


Paromita Pramanick
Hum chale us gali,
Jo gali kabhi na hamara tha;
Wapas jab mudhkar dekha toh
Humein apne gali ka bhi na koi pata tha.


Paromita Pramanick
श्याम का रंग छाया कोहरा सा,
लगे है सब क्यों धुंधला सा;
नैनों में है कुछ अश्क ऐसे,
लगता है प्यार हो बिछड़ा सा।।
Shyam ka rang chhaya kohra sa,
Lage hain sab kyon dhundla sa;
Naino mein hai kuch ashk aise,
Lagta hain pyar ho bichhda sa.


Paromita Pramanick
सर्द हवाए बहने लगी यों,
नस-नस को चूभने लगे है यों;
ठंड सुबह की हल्की सी यह धुप,
अंग-अंग लगे कोमल चादर का रूप।
Sard hawayein behne lagi yu,
Nas-nas ko chubhne lage hai yu;
Thand subah ki halki si yeh dhoop,
Ang-ang lage komal chadar ka roop.


Paromita Pramanick
कुछ सफर अंजाना सा, 
कुछ बातें अनकही सी, 
होनी को भी है अनहोनी सी,
अभी भी है कहानी अनसुनी सी।
Kuch safar anjaana sa,
Kuch baatein ankahee si,
Honi ko bhi hai anhonee si,
Abhi bhi hai kahani ansuni si.


Paromita Pramanick
 Woh bhi na humse miley
Hum bhi na unse miley;
Dono waqt ka intezaar karte rahe,
Aur phir waqt hi na hum dono ko miley.


Paromita Pramanick
 Le gaya woh dil humara
Tanha akela chod diya;
Ek dil hi toh tha hamara
Jo tanhaiyo mein saath deta tha!


Paromita Pramanick
यह वादियां यह पहाड़,
हमें यहीं रोक लेते है;
हम जब-जब इन्हें देखे,
यादों में खो जाते है!!
"Yeh wadiya yeh pahaad,
Humein yahi rok lete hai;
Hum jab-jab inhe dekhe,
Yaadon mein bas jate hai!!"💕
{This surrounding this mountain,
Binds me here;
Whenever I see them,
I'm lost in their memories!!}


Paromita Pramanick
Khayalon se tumhe dur rakha,
Toh tum aur khayalon mein aa jate ho;
Na jaane kya rishta hai dil se tumhara,
Jo tum khayalon se kabhi dur na jaate ho.


Paromita Pramanick
 Lafz na nikle zubaan se,
Aisa raag diya hai tumne;
Aansu na nikle aankhon se,
Aisa dard diya hai tumne!!


Paromita Pramanick
 Kehte the jab koi nahi dega saath tumhara
Main dunga saath,
Kabhi jo tum palatkar piche dekhogi duniya
Main rahunga saath.


Paromita Pramanick
Fariyaad karte hai yeh
Tum saath raho humesha
Dil ke jharokhe mein
Humare aaine ki tarah.


Paromita Pramanick
Zindagi ke kashmkash mein
Aise ulajh gaye hai hum,
Zindagi haath se reth jaise beh chali
Aur sochte reh gaye hum.


Paromita Pramanick
Kuch log marker bhi rishta nibha jaate hai,
Aur kuch jeete jee rishta hi tod dete hai||


Paromita Pramanick
Kya sahi hai aur kya galat
Kuch humein khabar nahi,
Shayad filhal jo raha hai
Wohi ho asal mein sahi.


Paromita Pramanick
Tum na aaye
Tumhari yaadein aa gayi
Hum na jaa paye
Humari neendein chali gayi.


Paromita Pramanick
Choo lo daaman is tarah
Ki hum tum mein samaa jaaye
Hum mil jaaye kuch is tarah
Ki kismat hume phir juda naa kar paaye.


Paromita Pramanick
Jab koi rishta nahi hota,
toh naye rishte jodne ke liye hazaar koshishe karte hai.
 Aur jab rishta ban jaata hai,
toh usse sambhalne ke liye ek koshish bhi nahi karte hai.


Paromita Pramanick
Zindagi bitani hai ek saath
Manzil pe chalna hai ek saath;
Akela toh humara ek kadam bhi nahi chal sakta,
Usse bhi lena padhta hai duje kadam ka saath.


Paromita Pramanick
मुसाफिर है हम तेरे इस जन्नत में,
हमें भूल तो जाओगे सही;
लिए जा रहे हैं तस्वीर आँखों में,
हम ना इन्हें भूलेंगे कभी ।
"Musafir hain hum tere is Jannat mein,
Humein bhul toh jaaoge sahi;
Liye jaa rahe hain tasveer aankhon mein,
Hum na inhe bhulenge kabhi."


Paromita Pramanick
Gaye the ek roz tumhare dar pe
Zindagi tumhare naam karne
Par choukhat pe hi tumne yu thukraya hume
Zindagi bhi humse khafa ho gayi.


Paromita Pramanick
Ek baar saath diya toh
Hum sudhar jaayenge;
Zindagi bhar saath diya toh

Hum savar jaayenge.


Paromita Pramanick
चाहत क्या है....
इस दिल से पूछो।
दर्द क्या है....
इन आँखो से पूछो।।

Paromita Pramanick ©2017. All Rights Reserved.

No comments:

Powered by Blogger.